A fabulous song ....
Film : Annadata
Singer : Lata Mangeshkar
Music : Salil Choudhury
Raaton ke saaye ghane jab bojh dil par bane
na toh jhale baati na ho koi saathi
phir bhi na dar agar bujhe diye
sahar toh hai tere liye
Raaton ke saaye ghane...
Jab bhi mujhe kabhi koi jo Gham ghere
lagtaa hai honge nahi sapne yaeh poore mere
kehta hai dil mujhko maanaa hai Gham tujhko
phir bhi na dar agar bujhe diye
sahar to hai tere liye..
Raaton ke saaye ghane...
Jab na chaman khile mere bahaaron mein
jab dubane mein lagun raato ki majadhaaro mein
maayus man dole par yeh gagan bole
phir bhi na dar agar bujhe diye
sahar to hai tere liye
Raaton ke saaye ghane...
Jab zindagi kisi tarah behalati nahi
khamoshiyno se bhari jab raat dhalti nahin
tab muskuraun mein yeh geet gaaun mein
phir bhi na dar agar bujhe diye
sahar to hai tere liye
Raaton ke saaye ghane...
Raaton ke saaye ghane jab bojh dil par bane
na toh jale baati na ho koi saathi
phir bhi na dar agar bujhe diye
sahar to hai tere liye...
No comments:
Post a Comment