Aye mere dil-e-nadan
tu gham se na ghabraana
ik din to samajh legi
duniya tera afsaana
aye mere dil-e-nadan
tu gham se na ghabrana ....
Armaan bhare dil mein zakhmon ko jagah de de
bhadke hue sholon ko kuch aur hawa de de
banti hai to ban jaaye yeh zindagi afsaana
aye mere dil-e-nadan
bhadke hue sholon ko kuch aur hawa de de
banti hai to ban jaaye yeh zindagi afsaana
aye mere dil-e-nadan
tu gham se na ghabrana....
Fariyad se kya haasil rone se natija kya
bekaar hai yeh baatein in baaton se hoga kya
apna bhi ghadi bhar mein ban jaata hai begaana
aye mere dil-e-nadan
apna bhi ghadi bhar mein ban jaata hai begaana
aye mere dil-e-nadan
tu gham se na ghabarana ....
Film:
No comments:
Post a Comment